Ey Gam-E-Jindgi Teri Hakeeqat
Kitne Hi Jhooth Bulwaati Hai,
Mai Aksar To Chhupa Leta Hoon Jamaane Se
Per Bheetar Koi Cheez Mujhpe Muskurati Hai,
Kambakht Dard Hi Kuchh Eise Mile Hain
Ke Baanto To Or Bhi Barh Jaate Hain,
Ummeed-E-Roshni Lagaaye Baitha Hai Jamaana Hamse
Ek Ham Hain Ke Apni Hi Amaawas Me Ghire Jaate Hain,
Chaar Pal ‘Sukoon Ke Lamhon’ Ke Khaatir
Mai Us Gam Ki Basti Se Door To Aa Gaya,
Yahaan Bhi Mere Apne, Wo Sawaal Karte Hain
Jinke Jawaabon Se….Aksar Ham Katraate Hain.,
Koi Samjhaaye..! In Barf Si Hawaaon Me
Rooh Tak Kaamp-Kampa Jaati Hai,
Ye Mere Apne Mera Dard Jaan Paane Ke Khaatir
Mere Zakhmon Ki Numaaish Kyon ? Lagaate Hain.