Ekk Tha Main Ekk Thi Zindaagii
Zindaagii Meri Nahin Magar Main Zindagii Kaa Tha
Woh Shayad Sapna Hii To Tha
Jo Kabhi Apna Naa Ho Saka
Bas Kuchh Khwaab They
Jo Apni Jeb Mein Bhare They
Uske Darwaze Per Bikhrey They
Kuchh Alag-Alag Se Naam Dekar.
Soch Meri Jaise Ghul Gayi Ho
Kisi Viraan Se Registan Mein
Jahan Na Uski Hansi Thi
Na Uska Wazood Tha
Naa Hii Koi Sapna Naa Koi Khwab Tha
Bas Ttha Ek Lamba Intezaar
Ekk Mulaqaat Ka, Pigaltee Barsat Ka
Ussi Baat Kaa, Ussi Saath Kaa
Jise Maine Kabhi Galey Se Lagaya Ttha
Sajaya Ttha Apni Zindagi Mein
Saalon-Saal Jinke Ke Liye Kya Uski Soch Bhi
Kayi Saalon Se Soi Hai Ya Yeh Chalaawa Hai
Kisi Anchahi Dastak Ka Kuch Kohri Yaadon Ka
Andhera Bhara Hua Hai Woh Kaala Andhera Shayad
Gehri Raat Ka Soochak Hai.Haan ! Woh Aaj Khush Hai
Kii Usse Naa Mili Koi Baat Naa Jazbaat, Naa Koi Barsaat Naa Mera Saath.