Ekk Emaarat Par Khada Khoobsurat Ekk Chaand
Timtimate Shehar Main Pehchaan Apni Dhuundta Ekk Insaan
Bhagti Is Duniya Mein Roshni Khud Kii Dhuundta Ekk Chaand
Masrufiyat Kii Duniya Mein Khamoshi Khud Kii Dhuundta Ekk Insaan
Anekon Taron Mein Kuch Khojta Ekk Chaand
Tuut-Te Taron Mein Duayein Uski Yaad Karta Ekk Insaan
Jagmagate Sitaron Ki Duniya Mein Tanha Ekk Chaand
Aahista Chalti Purvayi Mein Chandni Apni Khojta Ekk Insaan
Vrikshon Ki Do Panktiyoon Ke Madhya Khada Ekk Chaand
Akaash Kii Uchaayion Mein Khoye Zameen Dhuundta Ekk Insaan
Badlon Ke Upar Chalte Vimanoon Par Parchayi Chhod Ekk Chaand
Juda Dilon Kii Yadein Aaj Taza Karta Ekk Chaand
Do Masuum Nighaon Se Chaandni Apni Dhuundta Ekk Chaand
Hathon Se Fisalti Zindagi Ke Kuch Lamhey Sametta Ekk Insaan
Zameen Aur Asmaan Kii Uchaayi Namta Ekk Chaand
Zameen Se Door Ekk Emaarat Par Khada Tanha Ekk Insaan