Ekk Dari Hui Sii Sehmi Sii Akeli Ladki
Chhup Chhup Ke Karti Hain Yaad Wo Guzre Lamhe,
Kahin Dekh Naa Le Koi Muskuraate Huye,
Chhup Chhup Ke Dekhti Hai Wo Dhoondle Se Sapne,
Kahin Uske Apne Hii Unhe Tod Naa De
Kho Gayi Hai Wo Khilkhilaati,
Gam Ko Dekh Kar Bhii Muskuraati,
Khushiyon Ke Aangan Mein Khelti Shokh Kali,
Bass Reh Gayi Hai Andhero Mein Apne Gam Se Mann Behlaati,
Apne Puraane Sunehre Palo Ko Sehlaati,
Apni Meethi Yaadon Ko Aansuon Se Nehlaati,
Ekk Dari Hui Sii Sehmi Sii Akeli Ladk