Ekk Baat To Meri Naadaan Tooti Si Kalam
Kab Tak Tu Chalegi Naadaani Se Saath Mere,
Dekh Khuli Aankhoon Se Tu Girney Lagi Hain
Aur Larkharaatey Dikh Rahe Hain Jazbaat Tere.
Tu Bhii Kya Kar Sakti Hain Bechaari Kalam
Dard Bhatak-Ta Hain Magar Tere Saath Nahi,
Jahan Tu Aayi Hai Shyaahi Ki Chahat Mein
Unn Khanddaron Mein Ab Awaaz Nahi.
Maa Gayi Mamta Nibhaakar Aakash Mein
Woh Bhi Gayi Hain Chordkar Majdhaar Mein,
Ab ‘Tera’ Bhii Kanya Daan Mujhe Hii Karna Hain
Baithey Hain Wahan Dono Tere Intezaar Mein.
Mujh Per Matt Hans Meri Ey! Tooti Kalam
Mazaak Sehna Ab Mere Bas Kii Baat Nahi,
Bas Woh Samay Bata Jis Ghadi Tujhe Jaana Hai
Tujhe Chalaane Ko Mere Ghar Ab Koi Haath Nahi.
Teri Yaad Ko Yaadon Mein Chupa Lunga Main
Teri Likhawat Ko Haathon Mein Khudwa Lunga,
Shayad Kabhii Tu Kisi Shehar Mein Nazar Aaye
To Awaz Ke Naam Kaa Ik Paudhaa Uga Lunga