Ek Zamaana Hua Sard Hawaao’n Ka Ehsaas Bhi Naa Hua
Meri Qabr Mein Kisi Ke Ehsaaso’n Kaa Guzar Bhi Naa Hua
Koi To Waaris Hota Meri Kher-O-Khabar Kaa Lekin
Kisi Se Dill Naa Milaa, Koi Mujh Se Baa-Vafaa Naa Hua
Woh Aaye Bhi Meri Qabr Par Ek Halki Si Muskurahat De Bole
Kaisa Mazaar Hai Jahan Koi Darakht-E-Pyaar Kaa Saaya Naa Hua
Meri Rooh Ko Chen Bhi Haasil Nahi Aur Bechen Bhi Nahi
Zinda Thaa To Jaise Koi Rooh Nahi, Ab Rooh Nahi To Zinda Naa Hua