Ek Yehi Surat Bachi Hai Aajma Ke Dekhiye
Dusmano Ko Bhi Kabhi Samjha-Bujhake Dekhiye
Aankho Se Rangin Chassme Ko Hata Ke Dekhiye
Jindgi Ke Rang Thoda Paas Jake Dekhiye
Roz Khus Hone Mein Hai Maza Yaaro Kuch Nahi
Jayka Badle Jara Sa Ghum Bhi Kha Ke Ke Dekhiye
Aaj Badi Masumiat Se Aaine Ne Ye Kaha
Mujko Ko Bhi Kabhi Muskura Ke Dekhiye
Khusio Ke Kafille Jayenge Khud Hi Dur Tak
Ek Jara Sa Phollon Ko Hansa Kar Dekhiye
Prince Sharma