Ek Uljhan Ajeeb Taari Hai,
Zindagi Aaj Hum Pe Bhaari Hai.
Cherhta Rehta Hoon Apne Zakhmon Ko,
Ya Khudaara Ye Kya Beemaari Hai.
Koi Dost Hai, Na Koi Hai Azeez,
Jis Taraf Dekhiye Khudgharz Yaari Hai
Mera Har Fael Khuloos-O-Mohabbat Bhara
Makr-O-Fareb Ka Kyon Wo Pujaari Hai
Zulm Dushman Pe Bhi Karoonga Nahin,
Aisi Akhlaaq Ki Lachaari Hai.
Wo Ayaan Ho Ke Niklein Gunahgaar Hum,
Nazron Ki Bhi Khataa Hamaari Hai.
Jism Dhakne Se Na Jayegi Aazaadi,
Kuch To Haseenon Ki Zimmedaari Hai.
Kaanton Pe -Ë—adil-‘ Sote Aaye Hain,
Khuda Ne Aaj Qismat Sanwaari Hai.