Ek Thi Kashti Ek Tha Kinara
Dono The Akele The Dono Hee Besahara
Rutt Badli Par Kinara Na Peeche Hata
Kashti Bhi Aati Rahi Dene Use Harr Dard Ki Dawa
Ek Dinn Poochti Kashti Ki Tujhe Dard Kya Hai
Dia Jawab Kinare Ne Ki Harr Din Hee Mera Ek Saalgiraah Hai
Baat Yeh Kashti Ke Samajh Na Aayi
Dard Hai Kya Use Yeh Sunn Woh Dheeme Se Muskurayi
Phir Chal Padi Hawa Or Kashti Bhi Uske Ruukkhh Me Beh Chali Gayi
Manzil Thi Uski Purab Aur Woh Paschim Me Safar Taye Karti Gayi
Sochta Raha Kinara Ki Iska Safar Bhi Dhua Bharr Ka Hai
Jaise Badli Hawa Waise Hee Naavik Use Badalta Hai
Soch Lo Zindagi Mita Lo Aise Hee Gum
Kya Hai Safar Aur Kyu Hai Tumsabki Aankhein Namm
Rahe Manzil Toh Raston Ki Na Karo Fikar
Milti Hai Manzil Use Jo Bhatka Hai Kashti Ki Tarah Darbadar
Ab Tu Hai Kashti Aur Main Hoon Kinaara
Chalna Hamesha Sang Na Chorna Kabhi Saath Hamara