Ek Tamasha Ban Gaye The Bheed Me Baher Se Hum
Is Liye Behter Hua Khud Hat Gaye Manzer Se Hum
Takleefo Ki Taza Aandhia Ur Ek Sukha Shajer
Khud Ko Dhaanp Lete Hai Ek Fati Chader Se Hum
Jane Kya Matlab Nikale Log Apne Tareeke Per
Her Ek Se Khulke Ab Milte Nahi Is Der Se Hum
Shaam Itni Jaldi Kaise Raasto Me Ghir Gayi
Subah Ki Pahli Kiran Le Ker Chale The Gher Se Hum
Kis Ke Derwaze Pe Aakhir Dastake Dete Hai Log
Shor Hai Baher Bahut, Khamosh Hai Ander Se Hum
Aage Peeche Sirf Apne Dost Hi To Hai Samnoj
Sach To Ye Hai, Lad Rahe Hai Apne Hi Lashker Se Hum