Ek Subha Gali Ke Nukkad Pe Dekha
Bheed Bahut Lagi Hai Baazaar Main
Jaake Dekha To Aawaaz Aa Rahi Thi
Sach Char Aane Aur Jhoot Ek Hazaar Main
Isi Baazaar Ke Kone Main Ek Dukan Nazar Aayi
Bheed To Kuch Nahi Thi Kyon Ke Wahan Bik Rahi Thi Tanhayi
Beech Chaurahe Ek Aur Dukaan Par
Is Shor Main Bhi Wahan Khamoshi Nazar Aayi
Dekha To Wahan Rishtey, Tute Hue Kuch Khwaab Aur Pyaar Ke Tukde Pade The
Main Apne Hasraton Ko Bhi Bech Aaya
Apni Zindagi Ka Sarmaya Ek Sach Ke Daam Bech Aaya.