Ek Shikayat Hai Khuda Se Mere Dil Ko, Yaaron
Aag Lagi Hai Tanhayi Ki Anchal Ko, Yaaron
Kab Se Muntazir Hoon Mein Dariya-E-Ishq Ka
Bohath Pyaas Lagi Hai Is Sahil Ko, Yaaron
Mein Jab Do Khadam Hi Door Tha
To Hawaon Ne Mujhe Kheech Liya
Badi Mushkilon Ke Baad Jab Mein Pohncha To
Andhiyan Nigal Chuki Thi’n Manzil Ko Yaaron
Har Masoom Ghalati To Gunah Nahi Hoti
Mujhe Lagta Tha Begunah Ko Saza Nahi Hoti
Gar Allah Wo Kitaabi Insaaf Karne Lage
Mere Ghar Mein Bhi Farishton Ki Mehfil Ho, Yaaron
Kyun Mein Hi Zindagi Ko Khamosh Guzaroon?
Wo Bekhabar Aur Mein Madhosh Sa Rahoon?
Mere Sawalon Ka Jawaab Dede Jo Wo Khuda
Kuch Khushi Mere Dil Mein Bhi Daakhil Ho, Yaaron
Haye! App Muskuraye To Hame Ye Laga
Kahin Hum Hi To Nahi Hain Iski Wajah
Kitni Ghalath Fehmiyaan Hoti Hain
Dekho Mere Dil Ko, Yaaron
Bohath Bola Maine Ke Aye “Shayar” Sambhal
Ke Dhekta Hai Tujhko Wo Khuda Pal Pal
Par Kar Baitha Ye Mohabath Ka Gunah, Haye!
Jahanum Se Bachalo Is Gaafil Ko, Yaaron