Ek Shayar Ke Khwaab
Mehki Mehki Sabaa Or Jist Nayaab
Ek Shayar Ke Khwaab, Palkon Ke Aadaab
Ek Shayar Ke Lafz ,Khushi Mahsaal
Ek Shayar Ka Bayaan, Gum Bemisaal
Ek Shayar Ki Soch, Gunchon Ka Chaman
Ek Shayar Ki Duaa, Pyaar Or Aman
Ek Shayar Ke Khwaab
Subha Ki Si Hawa, Or Jism-E-Gulaab
Ek Shayar Ke Khwaab Tehzeeb-E-Shabaab
Ek Shayar Ka Jism, Kiraaye Ka Makaan
Ek Shayar Ki Hansi, Ilm Ki Jubaan
Ek Shayar Ka Haansil, Gungunati Khamoshi
Ek Shayar Ki Sadaa, Masjid Ki Ajaan
Ek Shayar Ke Khwaab, Shirkat-E-Mahtaab
Doston Ki Duniya, Or Ishq Be-Naqaab
Ek Shayar Ka Safar, Jaise Sagar Ki Lahar
Ek Shayar Ki Udaan, Jaise Saatwa Aasmaan
Ek Shayar Ka Fermaan, Jaise Jannat Ki Dagar
Ek Shayar Ka Kayaash, Jaise Khushbuon Ka Jahaan
Ek Shayar Ki Aankhen Jaise Jalta Chiraag
Ek Maqbool Sahsiyat Or Tanhai La-Jawaab
Ek Shayar Ki Pehchaan ,Jaise Khuda Ko Salaam
Ek Shayar Ki Izzat,Jaise Manzil Ka Ehtraam
Ek Shayar Ka Hosh Jaise Maykade Me Sharaab
Ek Shayar Ka Dil, Anubhav Ki Kitaab
Ek Shayar Ki Hasrat, Jist-E-Nayaab
Doston Ki Duniya Or Ishq Be-Naqaab