Ek Shaam Mere Tanha Aangan Main Utra Tha,
Muskura Kar Dekha, Na Kuch Wo Bola Tha,
Mausam Mere Andar, Ya Bahar Ka Badla Tha
Aaya Tha Mere Paas Jab Wo Aasman Ka Chaand
Hawa Bhi Chanchal Phirti Thi Kuch Itra Ke,
Gulaab Ki Kali Phir Khili Thi Sharmaa Ke,
Bele Ki Woh Daali Jhuki Thi Ithlaa Ke,
Roshan Meri Khidki Pe Tha Wo Aasman Ka Chaand
Mehki Si Raatain, Subah Muskurati Thi
Zindagi Naye Mode Pe Mujhko Liye Jaati Thi
Khwaabon Si Dunya Mujhko Nazar Aati Thi,
Humraah, Humraaz Tha Wo Aasman Ka Chaand
Bujh Gayi Wo Chaandni, Phir Andheri Raat,
Tanha Aangan, Tanha Main, Tahna Yeh Hyaat,
Yaad Umr Bhar Raha Kuch Palon Ka Saath,
Taaron Main Kho Gaya Mera Wo Aasmaan Ka Chaand