Ek Shaam Baitha Lagane Zindagi Ka Hisaab,
Madham Thi Roshni,Paimane Me Thi Sharab,
Soch Raha Tha Kya Khoya, Kya Paya,
Kya Haasil Kiya Aur Kya Gavaya,
Hisaab Pura Hone Par Yahi Samajh Mein Aaya,
Hasil To Kuch Hua Nahi Bas Gavaya Hi Gavaya,
Ta Umre Khud Ko Tanhai Mein Rota Paya,
Yaad Nahi Aata Mujhe Aakhri Bar Kab Muskuraya,
Dua Maangi Thi Aashiyane Ki,
Chal Padi Aandhiya Zamane Ki,
Mera Gum Koi Samajh Na Paya,
Haqeqat Ka Samne Jab Hua To Khwab Aise Tute,
Maut Ke Bulave Par Zindagi Jaise Ruthe,
Meri Kabar Par Kisi Ne Aansu Nahi Bahaya,
Ek Shaam Baitha Lagane Zindagi Ka Hisaab,
Madham Thi Roshni,Paimane Me Thi Sharab,