Ek Pyar Hai Mera Jo Mera Suroor Hai
Nashe Me Uske Yeh Shayar Aaj Choor Hai
Kahani Na Kehna Ise Dastaan Me Likhna Chahata Hoon.
Lage Hai Mele Khushion Ke Toh Gum Aaj Door Hai
Ek Pyar Hai Mera Jo Mera Suroor Hai.
Aankhein Jiski Shabnami Dil Thoda Masoom Jaroor Hai
Nahi Samajhti Iss Bedard Dunia Ko Uske Liye Toh Yahan Harr Koi Huzoor Hai.
Na Samajh Sahi Par Pyar Hai Mera Jo Mera Suroor Hai.
Chahata Hoon Use Main Kitna Yeh Khud Pata Lagana Numumkin Hai
Chand Sa Chamakta Uska Chehra Toh Khawabon Se Bhara Uska Jabeen Hai.
Timtimati Chandani Me Thandi Hawa Se Uska Lehrata Aanchal.
Saath Hoti Hai Jab Woh Mere Toh Hota Mujhe Bhi Guroor Hai.
Haan Chahana Kisi Ko Koi Gunha Nahi
Ek Pyar Hai Mera Jo Mera Suroor Hai.
Dekhna Dhoondke Milayegi Harr Raah Hume
Koi To Hamari Chahat Ki Bhi Kabr Ko Sajayega.
Kehlayegi Yeh Dastaan Amar Yeh Prem Bhi‚  Amar Prem Kehlayega.