Ek Lakeer Khichey Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Ke Is Par Kabhi Us Par Dekhtey Huun
Ek Dhuain Se Khichey Ek Lakeer Dekhtey Huun
Kabhi Asmaan Par Kabhi Zameen Par Dekhtey Huun
Neele Amber Kay Aanchal Mein Khichey Ek Lakeer Dekhtey Huun
Neele Sagar Ki God Mein Khichey Ek Lakeer Dekhtey Huun
Ek Lakeer Khichey Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Ke Is Par Kabhi Us Par Dekhtey Huun
Kuch Yadein Nadi Ke Is Par Kuch Uss Par Dekhtey Huun
Ek Nadi Behtey Dekhtey Huun
Kabhi Is Gaon Kabhi Uss Gaon Behtey Dekhtey Huun
Kuch Panchiyon Ko Udtey Main Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Kay Is Par Kabhi Uss Par Dekhtey Huun
Mausam Ke Sath Badaltey Havaon Kay Rukh Ko Main Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Ke Is Par Kabhi Uss Par Dekhtey Huun
Badaltey Kitney Mausamon Kay Rukh Ko Main Dekhtey Huun
Ek Lakeer Khichey Dekhtey Huun
Kitney Bhukamp Se Lutey Gharon Ko Main Dekhtey Huun
Kabhi Tufanon Se Kabhi Aandhion Se
Lutey Ashainey Main Dekhtey Huun
Ek Lakeer Dilon Par Khichey Main Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Ke Is Par Kabhi Us Par Dekhtey Huun
Pyare Se Masuum Phuulon Se Chehre Main Dekhtey Huun
Kabhi Sarhad Ke Is Par Kabhi Uss Par Dekhtey Huun