Ek Hamsafar Manga Tha Us Khuda Se.
Jo Dost Ban Jayee, Jo Pyara Ban Jayee
Jo Dil Ko Chhuu Le, Jo Mujhko Samajh Le
Jo Saath De Her Soch Me, Jo Tanhaiya Door Kar De.
Or Kya Manga Tha Us Khuda Se
Saathi Diya Magar Samajhdar Nahi
Pyar Karta Hai Magar Mere Dil Se Nahi.
Samjhana Parta Hai Use Har Baat Ka Matlab
Sikhana Parta Hai Use Duni Ki Dagar.
Kheechna Parta Hai Use Roz-Marra Ke Kaam Me.
Dil Churata Hai Vo Jimmevariyo.N K Naam Se
Dosti Ka Matlab Samjha Nahi.
Pair Ki Jooti Hu Main Ye Seekh Usko Mili
Is Tareh Se Vo Zindgi Jeeta Hai K Bus
Naukar Hai Sab Magar Khud Ko Kuchh Aata Nahi.
Ek Din Toot Kar Bikhar Gai Thi Main.
Mar Uski Pari To Ujar Gai Thi Main.
Talash Karne Lagi Ek Sathi Ki Main
Jo Samajhdar Ho Pyar Karta Ho Man Se Mujhe.
Door Kar De Meri Zindgi Ka Veeranpan
Mil Gaya Ek Sathi Mujhe Pyara Sa.
Thora Magar Vo Bhi Khuddar Hai.
Pyas Hai Usko Magar Vo Bhi Magroor Hai.
Jaan Chhirakti Hu Us Par Magar Samajhta Nahi.
Dunia Ki Bandisho Se Bahut Darta Hai Vo
Pas Aata Hai Vo Magar Minnato K Bad
Chahta Hai Mujhe Magar Nahi Ikrar Hai
Bahut Chahat Hai Uske Sang Jindgi Bita Doo Uske Liye.
Magar Samaj Ki Bandisho Me Ghiri Abla Nari Hoo.
Aj Sathi Hai Magar Tanha Hoo
Pyar Pakar Bhi Uska Adhoori, Abhagi Hoo
Gam Me Joojhati Akeli Pareshan Hoo.