Ek Chaah Man Me Chhupakar Naye Chah Ko Paalna
Ek Dard Ko Gale Se Lagakar Naye Dard Ko Chahana
Jaanti Hoo Bahut Muskil Raha Hoga Mujhako Sambhalana
Ek Khwaab Jo Aankho Me Basa Usake Upar Parda Daalana
Ek Kashish Jo Chubhati Hogi Dil Me Use Chupa Hasana
Jaanti Hoo Bahut Mushkil Raha Hoga Mujhako Sambhaalana

Kisi Ki Talaash Me Sukhe Nayano Ko Hasi Me Bhigona
Apani Tadap Ko Chhupa Mujhako Mujh Tak Banaana
Jaanti Hoo Bahut Mushkil Raha Hoga Mujhako Sambhalana
Kaise Kahoo Ki Yaad Nahi Bete Ke Liye Tarasati Wo Aankhe
Us Tadap Me Bhi Beti Ko Aise Ghar Me Sahaara Dena
Jaanti Ho Bahut Mushkil Raha Hoga Mujhe Sambhaalana
Kya Doo Aaj Ke Din Aapko Samajh Me Aata Nahi Mujhko
Kaise Doo Kuchh Bhi Jab Yaad Hai Wo Saare Pal Mujhko
Ki Bahut Mushkil Raha Hoga Mujhe Sambhaalana
Bas Keh Sakati Hoo Itna Ki Saara Jaha Dene Ki Chahat Hai
Ek Mauka Mujhe Bhi Do Ki Meri Bhi Kuchh Chahat Hai
Karo Gaur In Baato Par Bhi Nahi Koi Mujhe Sikayat Hai
Kyunki Jaanti Hoo Bahut Mushkil Hoga Mujhe Sambhaalana
Na Karo Band Aankhe Mere Taraf Se Kuchh Dikhaane Ki Chahat Hai
Is Pal Me Kuchh Naya Kar Dikhaane Ki Himmat Hai
Bas Ab Mujhe Kuchh Nahi Kehana Ki -Â….