Ek Aisa Zahar Koi To, De De Mujhe
Jo Jaan To Le, Pehle Hur Rug Ko Jalaye Meri
Jitna Tadpoon,Aur Woh Tadpaye Mujhe
Hur Ek Saans Ki Shamma, Dheere Se Bujhaye Meri
Gar Dard Ki Wajha, Koi Naam Zaban Pur Puhchen
Us Naam Ko Na Batana, Ki Kya Halat Thi Meri
Ek-Ek Karke Sabhi Mere, Chod Denge Mujhe
Jo Pehle Saath Mera Chode, Woh Aankhen Ho Meri
Gar Mere Bachne Ki Soorut Nazar Aati Ho Tujhe
To Thoda Aur Dena, Ab Jeene Ki Chahat Nahi Hai Meri
Gar Unhe Dhoka Ho Ki, Kisi Ghair Ka Janaza Hai
Thodi Si Chadar Hatake, Soorat Unhe Bhi Dikhana Meri
Gar Dafnana Ho To, Is Tarha Se Dafnana Mujhe
Dhoonde Jo Farishte, To Kabhi Paayen Na Mayyat Meri
Ek-Ek Naam Aakhir Me Yaad Aayega Mujhe
Jis Naam Pe Dum Nikle, Samjhna Wohi Maut Ki Wajha Hai Meri
Na Jana Hai Kisi Jannat, Na Hi Kisi Dozukh Me Mujhe
Bhatkoonga ” Damal ” Isi Duniya Me, Jahan Mohabbat Hai Meri