Ek Aam Aadmi
Khaamosh Se In Raahon Mein Bhataktaa,
Is Bhare Se Aasmaan Mein Apnaa ..
Astitva Dhoond Paane Ko Tarastaa,
Ek Aam Aadmi
Do Joon Roti Or Ek Chhat Ke Khaatir
In Tez Raftaar Se Bhaagti Sadkon Per,
Jindgi Se Bhii Dheemi Chalti Bason Per
Roj Bhagwaan Bharoose Lataktaa,
Ek Aam Aadmi
Apne Lehraate Kheton Ko Dekhkar Muskurata
Apni Chhoti-Chhoti Khushiyon Kee Khaatir
Chhote-Chhote Se Sapne Sajata Or
Unke Poora Na Ho Paane Se Ghabrata,
Ek Aam Aadmi
Shehron Ki Chakachoundh Se Door
Uoonchi-Uoonchi Meenaaron Se Bharpoor,
Motaron Ki Hod Se Anjaan
Apne Chhote Se Ghar Pee Rang-Rogan Lagataa,
Ek Aam Aadmi
Sird Kohre Me Ghar Se Nikalkar
Apne Maveshiyon Ko Chaara Jutata,
Seena Cheerti Thand Se Ladta
Apne Kheton Me Paseena Bahata,
Ek Aam Aadmi
Apni Naakaamiyon Ka Maatam Manata
Roj Chulhe Ke Khaatir Lakdiyaan Jutata,
Internet Or Globalisation Ke Is Daur Me Bhi
Pichhili Sadi Se Bhi Pichhla Nazar Aata,
.