Eh Maalik‚  Insaan Kyon,
Lalach Ke Sager Mein Bahta Ja Raha Hain.
Chhod Ker Kyon Des Aapna,
Saat Samunder Paar Jaa Raha Hain.
Chhod Ker Aapno Ko Peeche,
Doosron Kaa Pyaar Dhoondta Hain,
Chand Ko Shune Kii Tamanna Mein,
Jadein* Aapni Bhoola Raha Hain.
Maanta Hoon Badlna Dastoor Hain Zindagi Kaa,
Mager Es Khudgarz Duniya Mein,
Khoon Kaa Rang Bhii Badalta Jaa Raha Hain.
Kaun Karta Hain Vishwash Kisisi Pe
Koi Phele Jaisa,
Kaun Karta Hain Pyaar Kisisi Se,
Koi Phele Jaisa.
Ab To Aapne Faiyede Ke Liye,
Insaan, Rishtey Bna Raha Hain,
Unhi Rishton Mein, Ulajh Raha Hain.
Eh Maalik , Insaan Kyon Aajkal,
Dikhawat Ke Duniya Mein, Chalta Ja Raha Hain.
Koi Sambandh Nahin Hain Aapas Mein
Koi Vishwass, Pyaar Nahin Hain,
Phir Bhii Rishton Kii Kadi Mein , Her Roj
Koi Naa Koi Naam Jodta Jaa Raha Hain.
Matlab Pura Hone Per, Todta Ja Raha Hain.
Eh Maalik , Insaan Kiyon,Lalach Ke Sager Mein Bahta Ja Raha Hain.