E-Muqaddar Kya Hain Mere Liye Bas Tanhaiya .
Kya Nahi Kistmat Mein Mere Koi Khushiya Yaha
Maine Lakho Raate Guzaari Khushi Kee Chaah Mein
Kyu Nahi Hain Jholi Mein Meri Khilti Hui Si Roshniya
Sard Aaho Ki Tapish Se Tmaam Shab Pighalti Rahi
Chand Dooba .Savera Foota Baj Saki Na Koi Shehnaiya
E – Muqaddar Kya Hai Mere Liye Bas Tanhaiya…
Ujli Kiran Thi Ujle The Chehre, Jisko Bhii Dekha Nazer Utha..
Magar Thi Khaamosh Kismat Meri,Faile Bas Andhiyare Yaha..
Bujhe Dilo Ko Kabhi Diya Karte The Ham Be Hausle..
Aaj Khud Ki Haalat Hai Ye Ki Gardish Mein Hai Bebakiya..
Ishq Karke Socha Tha Ki Dard Seh Lengi Nakaamiya..
Ishq Karke Bhi Haare. Badh Gayi Aur Bhi Baichainiya..
Saans Ghutti Hai Kabi Rusvai Me To Kabi Tanhai Mein…
Aalam Ye Hai Ki. Jiti Hai Na Marti Hai ‘Gam-E-Lashkar’ Yaha..
E-Muquaddar Kya Hai Mere Liye Bas Tanhaiya…
Mil K Bin Chain Nahi Door Reh Kar Bhi Sakoon Nahi…
Uske Paas Baith Ker Bi Khushi Nahi..Judai Bhi Raas Aye Naa.
Pyar Paker Be Reh Gayi Pyaas Baaki…
Pyas Bujha Kar Bhi Meen(Fish) Si Tadafti Yaha..
Yah!! Khuda Baichain Kitni Ho Rahi Hai Aatma..
De De Do Gaz Jamee Ya Le Le Maula Ye Dil Mera..
Naa Dard Hoga Naa Ashk Honge Naa Hoga Koi Gila..
Bas Ab Ham Thak Chuke Kar De Hamko Ab Vida..