E Mere Khuda Ek Sawal Hai Tujhse,
Agar Ijazat Ho To Farmadu Tere Aage,
Ki Tune Insaan Jaise Prani Kyun Hai Banaye,
Banaye To Unke Dil Mein Nafarat Ke Diye Kyun Jalaye?
Jala Dalti Hai Ye Sabke,
Bane-Banaye Aashiyane
Agar Ye Yoonhi Bhadakti Rahi,
To Jal Jayenge Duniya Banane Wale
Zindagi Bhi Kuch Sath Nahi Deti,
Kitne Kathin Hai Is Safar Ke Rastey
Rulati Hai Hume Paida Karte Hi,
Aur Marne Ke Baad Chali Jaati Hai
Sabhi Aur Ko Rulake.
Kya Magsad Iska, Kya Phayda Aisi Zindagi Jike,
Agar Aakhir Mein Marna Hi Hai,
To Kyun Itne Dukh Hai Sahene Padte