Duub Rahi Hoon Dekho Raat Ka Gehra Sunata Hai
Dil Bhi Tut Sa Jata Hai
Gehra Sumander Charoon Janib Pass Apne Aikh Takhta Hai
Takhte Pe Do Haath Hain Mere Takhte Pe Aikh Haath Hai Us Ka
Mene Jana Mene Sumjha Sahil Tak Dono Pohancein Gey
Lahar Lahar Larte Jain Ge Has Ke Ghum Sehte Jain Gey
Dawa Hade Nazar Pani Tha Yakh Pani Tha
Takhta Behta Jata Tha Hum Bhi Chalte Jate They
Takhte Pe Do Haath They Mere Takhte Pe Aikh Haat Tha Us Ka
Takhta Behta Jata Tha.
Mujh Ko Kiya Maloom Tha Jana Kismat Mein Ab Likha Kiya Hai
Tum Ne Kiya Qurbani De Hai Mein To Doob Se Jati Hoon
Tum Ne Chaha Tum Mar Jao Mujh Ko Jewan Dete Jao
Mein Pagli Ye Sumhaj Na Pai.
Takhte Pe Do Haath Hain Mere Takhte Pe Aikh Haath Hai Us Ka
Woh To Dub Ne Wala Hai Woh To Marne Wala Hai
Mein Ye Sumjhi Chahat Apni Sahil Tak Aah Jai Gi
Mein Ye Sumjhi Kismat Apni Manzil Par Le Jai Gi
Takhte Pe Do Haath They Mere Takte Pe Aikh Haat Tha Us Ka
Us Ka Haath To Choot Gaya Mere Dilber Dub Gaya
Mein Sahil Tak Zinda Poochanchi Takhta Mere Haat Mein Tha
Pani Mein Woh Dub Gaya Hai Ghum Ke Dariya Mein Lekin Mein
Assey Dub Se Jati Hoon Kash Mein Bhi Us Kay Saath Hi Marti
Duub Ne Wala Duub Raha Hai
Takhte Pe Do Haath They Mere Takhte Pe Aikh Haat Tha Us Ka
Sahil Sahil Saath Chalein Gey Kehne Wala Kahta Tha
Lekin Woh To Duub Gaya Hai.