Dushwariyon Se Aajmaish Kaa Silsila Rahe
Her Thokar Per Seene Mein Badhta Hausla Rahe
Rukta Nahi Waqt Kabhii Kisi Ke Intezaar Ko
Jaanib-E-Manzil Badhta Tera Kaafila Rahe
Najdikiyaan Gar Badhe To Ulajhne Kaa Hai Khatra
Rishton Ke Darmiyaan Bhii Jara Faasla Rahe
Khushiyan Kharidi Ja Sakti Hai Choti Si Kamaai Mein
Imaan Ker Gar Usmein Pasina Mila Rahe
Dushmani Ne Dil Ke Darwaje Band Ker Diye Mana
Dosti Ke Liye Koi To Raasta Khula Rahe
Dil-E-Sehra Mein Naumeedi Kii Kitni Aadhiyan Chale Kureel
Koshish Karo Umeed Kaa Koi Gul Khila Rahe