Dushman Se Kaho Mere Sar E Aam To Aaye
Zakhmon Ke Saath Saath Koi Naam To Aaye
Khul Jayega Yeh Raaz Bhi Taskeen To Rakhiye
Sar Mere Pehle Ishq Ka Ilzaam To Aaye
Dil Tutne Ka Mujko Faqat Intezar Hai
Akhir Dil E Nakaam Kisi Kaam To Aaye
Khudai Ke Wujud Se Inkaar Hai Kise
Par Pehle Qayamat Ka Koi Anjaam To Aaye
Jab Chand Nikalta Hai Tum Hote Ho Rubaru
Subha Se Intezar Mein Hu Shaam To Aaye
Diwangi Na Meri Kahhi Jaye Raigaan
Chahat Ka Meri Ab Koi Inaam To Aaye
Tum Chahe Beench Do Ise Raddi Ke Mol Hi
Kuch Shayri Ka Meri Magar Daam To Aaye
Zidd Mai Bedar Ho Jaunga Khud Aap Hi
Kambakth Aaftab Sar E Baam To Aaye