Duniyadaar Fankaar Say
Tu Bhi Kabhi Muskurayaa Hota
Is Jahaan Ka Khuda Jo Apnayaa Hota
Bheer Main Phirta Beshaql Bun Kar
Aur Izzat Ka Makhota Lagyaa Hota

Jamaal-E-Fan-E-Zindagi Say Na-Ashna Rehta
Aur Khyaal Balndion Pay Na Layaa Hota
Zauq-E-Talab Is Jahaan Main Jurm Hai Sadion Say
Is Jurm Pay Tujhko Na Pyaar Aayaa Hota
Befiqr Ki Masti Main Phir Tu Bhi Raqs Karta
Riwayaut Ko Jo Khuda Tunay Banaayaa Hota
Fankaar Duniyadaar Say
Meri Duniya Main Jo Ik Baar Tu Aayaa Hota
To Yeh Reham Toonay Khud Pay Hi Khayaa Hota
Honth Phail Jaanay Ko Hi Tu Hansi Samjhay
Masrrat Ko Itna To Na Girayaa Hota
Miltay Jo Balandion Pay Basay Shffaaf Zehan
Apnay Aleel Fulsphon Pay Sharm Khayaa Hota
Dekhta Jo Tu Meri Masarrat Ki Parvaazain
Larkhraatay Kadamon Pay Apnay Na Itna Itraayaa Hota
Samajh Paataa Tu Jo Vehshi Say Insaan Bannay Ka Safar
To Zauq-E-Talab Ko Duniya Nay Na Juram Banayaa Hota
Ik Baar Phir Chal Diya Uqta Kay Woh Daanaa
Main Hi Kaash Teri Mehfil Main Na Aayaa Hota