Duniya Wale Hamein Awaara Kehte Hain
Hamari Sharafat Ko Awaaragi Samajhte Hain
Har Nazar Hum Se Sawal Karti Hai
Un Ke Jawab Dhoondne Ke Liye Majboor Karti Hai
um Tho Har Rishte Ko Paak Maante Hai
Har Insaan Ko Apna Samajhte Hai
Kyun Hamein Log Gira Hua Kehte Hain
Hamare Ladkadate Kadmon Ko Ghalat Batate Hain
Har Sharaabkhane Se Hamara Naam Jodte Hain
Par Yeh Nasamaj Kia Jaane
Hum Tho Aik Hi Mehkhane Ke Mehmaan Hain
Yeh Hamari Sharafat-E-Fitrat Hai Ke Hum
Duniya Se Shikayat Nahi Karte
Phir Bhi Yeh Zamane Wale Kehte Hain
Hamari Fitrat Main Awaara Pan Shamil Hai
Ab Tho Awaara Banne Ko Dil Karta Hai
Zamane Ki Har Kahi Baat Ko
Sach Karne Ka Dil Karta Hai
Sach Kehte Hai Yaaron
Hamara Dil Tho Nahi Kia Awaara Kehlane Ka
Par Zamane Ki Takriron Ne Hamein Awaara Bana Diya