Duniya Ne Chena Woh Sub Kuch Jo Laga Mujhe Pyara,
Har Koi Mujhse Jeeta Or Mein Har Dam Hara
Jo Saaz Se Nikli Hai Woh Sada Subne Suni Hai,
Jo Saaz Pe Guzri Hai Woh Kisi Dil Ko Khabar Nahi
Tum Badle Jahan Badla, Badli Nazar Zamane Ki,
Yeh Ansoo Char Baqi Reh Gay Nishani Dil Lagane Ki
Galat Nahi Kay Zamane Mein Lajawab Hain Hum,
Samjh Sake Na Koi Woh Kitab Hain Hum
Tappish Suraj Ki Hoti Hai Jalna Zameen Ko Parta Hai,
Kasoor Ankhon Ka Hota Haibhugatna Dil Ko Parta Hai
In Udas Mushkurahatoon Kay Pechay Ghum Kay Railay Hain,
Ab Tumhain Kya Baaten Kay Tum Bin Hum Kitnay Akelay Hain.
Mujhe Is Baat Ka Gham Nahi Kay Badal Gaya Zamana,
Meri Zindagi Toh Sirf Tum Ho Kahien Tum Na Badal Jana
Mana Kay Appki Nazaron Mein Kuch Nahi Hain Hum,
Magar Unse Jakar Pucheay Jinhain Hasil Nahi Hain Hum
Khuda Kissi Ko Kissi Pe Fida Na Karay,
Agar Karay Toh Qayamat Tuk Judaa Na Karay
Hui Humse Yeh Nadani Teri Mehfil Mein Aa Baithay,
Ho Kay Zameen Ki Khak Asmaan Se Dil Laga Baithay
Jinki Yaad Hai Dil Mein Nishani Ki Tarha,
Woh Toh Bhool Gaye Humain Kahani Ki Tarah
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai,
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna,
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna,
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray,
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna.
Hadse Ban Kay Log Yahan Mila Kartain Hain,
Zakam Dekay Kaam Kiya Kartay Hain,
Roz Gir Jati Hai Devar Teri Yaadon Ki,
Roz Hum Maut Kay Saaye Mein Raha Kartay Hain
Ajj Phir Totaain Gi Teray Ghar Ki Nazuk Khirkiyan,
Ajj Ek Deewana Teray Shahar Mein Dekha Gaya
Laut Aay Na Kisi Roz Woh Awara Mizag,
Khola Rakhtay Hain Is Aas Per Dar Sham Ke Bad