Duniya Ka Ek Alag Hi Chehra Dekhaa Maine
Dekh Kar Bebasi Logon Ki Ye Sochaa Maine
Sach Kaha Zamaane Ne Ke Duniya Ne Aasmaaan Ko Choo Liya
Shayad Isliye Dilon Ko Taaron Ki Tarah Toot-Te Dekhaa Maine
Sach Hai Ke Duniya Ne Tarrakhi Kar Li Azeem
Shayad Isliye Mohabbat Ko Mit-Te Dekhaa Maine
Bijli Ki Ab Kisi Ko Bhi Pareshaani Nahi Yahaan
Nafraton Ki Aag Se Gharon Ko Sulag-Te Dekhaa Maine
Wo Daur Hi Kitna Pyaara Tha Azeem Jab Duniya Peeche Thi
Is Daur Mein Bhai Ko Bhai Ka Dushman Ban-Te Dekhaa Maine
Bhale Aaj Duniya Mein Kami Nahi Paison Ki Azeem
Magar Jagaah Jagaah Insaanon Ko Bhook Se Mar-Te Dekhaa Maine