Dukhoun Ki Shidatien Zakhmoun Ki Gehrai Mujhey Dey Do
Maseeha Tum Sahii Izn E Maseehaii Mujhey Dey Do
Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman Ho Tum Ko Kya Gham Hai
Main Tanha Hon Yeh Bazm E Zouq E Tanhaii Mujhey Dey Do
Tum Apney Dil Key Darwazey Mukaffal Shouq Sey Kar Lo
Bas Apni Zaat Sey Izn E Shanasaii Mujhey Dey Do
Tumharey Baad Har Manzar Mujhey Be-Rung Lagta Hai
Yeh Aankhien Cheen Lo Yeh Apni Beenaii Mujhey Dey Do
Main Sansoun Mein Samo Loon Ga Tumhrii Har Amanat Ko
Yeh Wehshat-Naak Sannatey Yeh Tanhaii Mujhey Dey Do
Meri Shohrat Tumharey Kaam Aa Jaye To Haazir Hai
Tumhien Dunya Ney Bakhshii Hai Jo Tanhaii Mujhey Dey Do
Main Shair Hon Meray Be-Kaif Be-Taseer Lafzoun Ko
Amar Kar Do Tum Apney Ghum Kii Ra’anaii Mujhey Dey Do