Dukhi Man Mera Na Jaane Kyun Usse Bhulane Ko Raazi Nahi,
Mera Man Marte Marte Bhi Uske Aakhir Darshan Chahta Hai…
Man Ko Kitna Samjaya, Sapne Haqeekat Nahi Hote,
To Man Bola Wo Sapna Hi Toh Tha Jisse Main Haqeekat Banane Chala Tha…

Chala Tha 2 Kadam Ye Soch Kar Ki Wo Mera Zindagi Bhar Tak Saath Degi,
Magar Afsos Uske Kadam Ladkada Na Jaate…
Ladkadhaye Kadam…2 Phir Bhi Ek Kaish Thi Dil Main,
Ki Chal Pad Unka Ghar Dur Nahi Dur Nahi…
Ghar Se To Nikala Man Se Bhi Nikal Deti,
Itna Zulam Karne Ke Baad Kam Se Kam 2 Bund To Pila Deti..
Peene Waale Ye Sochte Hai Ki Nasha Hoga Aur Unki Yaad Seene Se Nikal Jaayegi,
Magar Nasha Bhi Kitna Badnaseeb Hai Chahkar Bhi Mere Aanso Nahi Dho Sakta…
Aaj Mere Aanso Lahoo Bankar Beh Rahe Hai,
Kal Tak Inhi Ke Pal Bhar Aane Se Wo Daria Baha Deti Thi…
Jab Bhi Ye Sab Sochta Hun To Ek Hi Khayal Aata Hai,
Kyu Dil Tanha Ho Jaata Hai Tanha Ho Jaata Hai,