Dukh Ka Naam Hai Aisa Yaaro Ki Sunke Hi Dukh Hota Hai,
Ab Dukh To Nahi Shayad Hame Koyi, Par Jaane Dil Kyu Rota Hai,
Chaiin Isey Kahi Nahi, Bechani Me Ye Rehta Hai,
Mukamil Jahhan Mila Hai Isey, Par Jaane Kyu Ye Tanha Rehta Hai?

Roz Khud Ko Samjhata Hai “Dil”, Ki Bas Kuch Dur Aur Sabar Kar,
Koyi To Hoga Tera Bhi Humnasfaz, Bas Intzaar Thoda Aur Kar,
Chalta Hai Bheer Mein, Par Hoke Sabse Juda-Juda,
Har Kadam Par Yaad Karta Hai Us Shaks Ko, Jise Samjha Tha Khuda,
Yaadain Apni Pirota Hai Kuch Saanso Ki Mala Banakar,
Sapney Phir Dekhta Hai, Sanam Ki Adayain Sajakar,
Kat Jata Hai Din Jab In Duniyawalon Ki Mehfil Mein,
Kuch Yaadain Isey Phir Aati Hai Dard Banke Is Dil Mein!!
Yu To Dukh Ke Naam Se Sabhi ko Dukh Hota Hai,
Dukh To Nahi Shayad Mujhe Par Jaane Kyu Ye Dil Ab Rota Hai