Dukh Dard Bhare Is Jeevan Ki
Andhiyaari Raat Fail Gayi
Nisha Ke Is Samrajya Mein
Jivanshaili Simat Gayi
Intezaar Kar Rahe Wo Apnii
Aakhri Saaso Kaa
Hatotsahit Bojhil Aankhien
Karti Intezaar Apne Kafan Kaa
Par Kahan Tak Uchit Lagta Ye Sapnaa
Kaal-Kavlit Hone Ka
Kya Mana Hai Jindagi Me Aas
Jagana Apne Uddipt Jeevan Ka
Mana Tumhe Aaj Niraasha Haath Lgi Hain
Par Jindagi Me Aise Kayi
Kaale Baadal Chayenge
Tab Ranbhumi Chod Aap
Kahan Tak Jayenge
Prashn Pucho Ye Apne Man Mein
Kidhar Likha Hain
Safalta Milegi Jivan K Kan-Kan Mein
Kayarta Se Abhishapt Purush
Jagao Adamya Utsaah Apne Man Mein
Kahin Na Kahin Safalta Milegi
Kadi Parishram Lagan Mein
Jindagime Mod Kayi Aayenge
Kabhi Na Kabhi To
Safalta Ke Parcham Hum Lahrayenge
Ye Utsaah Sada Rakho Apne Man Mein
Kabhi Na Kabhi Tab Safalta
Paaoge Jivan Ke Is Tarang Mein