Dub Rahi Hain Sansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aane Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai
Muddat Hoye Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Mere Dil Pe Ek Nishan Baaqi Hai
Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Ghum Nahi
Abhi To Mere Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai
Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoyi Lehron Mein Abhi Tufaan Baaqi Hai
Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Mere Dukhon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai
Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E-Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai
Ja Chuke Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makin-E-Makaan Baaqi Hai