Dua Karo Koi Pyaas Nazr-E-Jaam Na Ho
Wo Zindagi Hi Nahi Hai Jo Na Tamam Na Ho
Jo Mujh Main Tujh Main Chala Aa Raha Hai Sadiyon Se
Kahin Hayaat Isi Faasilay Ka Naam Na Ho
Saba! Mizaaj Ki Tezi Bhi Ek Naimat Hai
Agar Charag Bujhana Hi Ek Kaam Na Ho
Koi Charag Na Aansoo Na Aarzoo-E-Sahar
Khuda Karay K Kisi Ghar Main Aisi Shaam Na Ho
Ajeeb Shart Lagai Hai Ehtiyaton Ne
Ke Tera Zikr Karun Or Tera Naam Na Ho
“Irshad” Kitni Hi Subhain Lahoo Lahoo Guzreen
Ek Aisi Subah Bhi Aaye Ke Jis Ki Shaam Na Ho