Dua Hai Meri Rab Se,
Kabhi Aapko Dard Ka Ehsaas Na De,
Jo Khwaab Kabhi Haqeeqat Ka Rang Na Le Sake,
Aankhon Mein Phir Aisa Koi Khawaab Na De.
Waqt Ke Mutaabik Insaan Ki Har Zaroorat Badal Jaati Hai,
Par Tere Haq Mein Na Ho Jo,
Waqt Ka Faisla!
Khuda Kabhi Aise Sawal Ka Tujhe Jawaab Na De.
Majbooriyon Aur Pareshaaniyon Ki Zanjeer Mein,
Qaid Hai Har Shaks ss Jahan Ka,
Par Tere Mushkilo Mein Aisa Koi Pal Na Guzre,
Jab “Khwaish” Tera Saath Na De.
Eh Dost, Har Mushkil Ka Saama Ho Sakta Hai Yakeenan,
Par Shart Yeh Hai Ki Nazar Sirf Manzil Par Hi Ho,
Manzil Ko Hataa Kar Eh Dost,
Inn Aankhon Mein Kabhi Aansuo Ko Panaah Na De.
Chalte Jaana Par Har Ek Kadam Phoonk Kar Rakhna “Pooja”
Teri Raahein Khud Humsafar Ban Jaayegi,
Bas, Khuda Tujhe Kabhi Gham Ki Dhoop Aur
Ashko Ki Barsaat Na De.
Kuch Jazbaat Aise Hote Hai Jo Dil Hi Dil Mein Hai Reh Jaate,
Jinhe Hum Alfaaso Mein Nahi Hai Keh Paate,
Yeh Jazbaat Aag Bankar Dil Ko Hai Jaalate,
Yehi Guzaarish Hai,Aisa Aag Ko Kabhi,
Hawa Na De.
“Khwaish” To Musaafir Hai,
Zindagi Ki Raahon Mein Bichad Bhi Jaaye To Kya Hua
Par Yaad Rakhna Eh Dost,
Aisa Koi Saans Nahi Jisme,
“Khwaish” Teri Salaamati Ki Dua Na De.