Dua Hai Ki Woh Ab Khawbon Mein Na Mile
Aur Meri Aankhon Mein Koi Aansoo Na Mile
Woh Mere Deedar Ke Liye Behad Tadpe
Aur Usse Mera Hee Saya Na Mile
Jo Galat Fehmi Hum Dono Mein Hai
Dhoondne Se Bhi Usko Koi Uska Sira Na Mile
Meri Yaadon Ki Uljhan Mein Itna Ulajh Jaye
Ke Yaadon Se Bhaagne Ka Rasta Na Mile
Meri Baaton Ke Samandar Mein Itna Dubbe
Ke Bhool Ke Bhi Us Ko Koi Kinara Na Mile
Jiss Din Milna Ussi Din Hee Bichadna
Ab Humein Milane Wala Koi Din Na Mile
Band Aankhein Jab Bhi Kare Sone Ke Liye
Neendon Ke Desh Ka Koi Raasta Na Mile
Main Door Uss-Se Itna Door Chala Jaayu
Ke Mera Usse Koi Bhi Nishan Na Mile
Mere Dil Ko Be-Dardi Se Todne Wale
Ab Tujh Ko Koi Mujh Sa Na Mile
Chahton Ka Mausam Toh Do Din Mein Guzar Gayi
Mujhsa Chahne Wala Abb Usse Koi Aur Na Mile
Meri Aankhon Se Khawab Cheen-Ne Wale
Dua Mein Mangne Par Bhi Tujhe Mera Pyar Na Mile