Dostoon‚  Kuch Tottey Huye Khawab Le Ke Phir
k Baar Aap Ki Bazm Mein Hajir Hua Hoon
Dil Ne Ik Kafir Se Waffa Ki Aur Badley Mein
Kya Paya‚  Apni Yeh Halaat Aapke Samney Bayaan Karna Chahta Hoon
Dil Ne Chaha Toh Bahot, Daud Ke Chale Aane Ko,
Kadam Tham Se Gaye, Ruki Hui Dhadkan Ki Tarah!
Hum Kaise Karein Kisi Se, Haal Apna Bayaan,
Hothon Par Daraarein Aa Gayee, Rishton Ki Tarah!
Dil Ne Kitna Samjhaya, Mat Nibhao Itni Wafa,
Dost Phir Bhi Milenge Tumhe, Dushman Ki Tarah!
Kabhi Aankhon Se, Kabhi Ishaaron Se Bayaan Kiya,
Woh Chup Chaap Hi Raha, Kisi Patthar Ki Tarah!
Raah Mein Rukna Aadat Nahin, Laut Jaana Fitrat Nahin,
Chalte Rehte Hain Hum, Kisi Behte Dariya Ki Tarah!
Kya Socha Kya Hua, Kyun Socha Kyun Khoya,
Jaante Nahin The, Khawab Toot’te Hain Seeshon Ki Tarah