Doston Aaj Ek Bar Fir Aapki Mahfil Mein
Dard Samet Laya Hun Kubul Farmaye
Kiya Kami Dekhi Tumne Apne Deewane Mein
Sare Aam Badnam Kiya Mujhe Zamane Mein
Jiska Naam Likha Hum Ne Dill Ki Deewaron Mein
Usne Hi Kasar Na chodi Mujhe Bhulane Mein
Jo Payal Ki Jhankaren Thee Mere Tarane Mein
Sharab Wahi Khanak Sunati Hai Ab Paimane Mein
Tere Baad Maut Ko Hi Chaha Dill Ne Tut Kar
Dekh Zindgi Tabah Kar Dali Apni Mahkhane Mein
Kabhi Sota Thaa Teri Zulfon Ke Saye Mein
Ab Maut Ki Godh Hai Mere Sirhane Mein
Wo Sang Dil Hai Na Aaegi Mujhe Dekhne Yaaron
Ab Der Mat Karo Meri Mayat Ko Dafnane Mein
Kyun Rote Ho Logon Aaj To Khushi Ka Din Hai
Shamil Hone Ja Raha Hun Allah Ke Gharane Mein