Dosti Ye Humari Hume Jaan Se Jyada Pyaari Hain
Dosti Nei Humari Hii Duniyaa Haseen Banayi Hain
Khelte Bhii Hain Saath Jhagadte Bhii Hain Hum Log
Umra Bhar Dosti Nibhane Kii Kasam Humne Khayi Hain
Har Barsaat Ke Baad Ban Ke Indhradhanush Ye Aayi Hain
Dosti Ke Saat Rangon Ne Hum Me Nayi Umang Jagayi Hain
Jab Kabhi Dil Bojhal Aur Aankhen Num Hui Hain Humari
Yeh Dosti Chehre Pe Raunak, Hoton Pe Muskaan Laayi Hain
Jab Bhi Zindagi Ko Kisi Paheli Mein Uljha Paaya Hain
Sabne Saath Rehkar Har Uljhan Di Suljhaayi Hain
Lamhon Mein Kitne Hii Kamzor Paaya Humne Khud Ko
Ehsaas Ne Is Dosti Ke Himmata Humesha Badhaayi Hai
Dua Yeh Hai Khudaa Se Naa Toote Humara Yeh Bandhan
Ke Dosti Ne Humaari Dhaadkan Aur Saansen Sajaayi Hain
Hai Jaltaa Humaare Dilon Mein Yeh Ehsaas Apnepan Kaa
Iss Pyaar Kii Humaare Khushbu Dilon Me Samaayi Hain