Dosti Ke Libaas Main Diya Hai Dhoka Tune
Aur Masoom Baanke Aab Pachtaye Hai Hum
Ghabrahat Hoti Hai Dosti Ka Aaina Dekhne Se
Aaj Bhi Aaina Dekh Chehra Chupa Lete Hai Hum
Aaj Qaid Hai Ansu Ankho Main Angaro Ki Tarah
Aur Agar Yeh Chalak Gaye To Jaal Jayenge Hum
Meri Khamoshi Main Hai Ghehrai Chupi Itni Aaj
Ke Iss Dard Ki Chiikhain Sun Ke Ghabraye Hum
Tha Yeh Fasana Daaba Dil Main Raaz Baan Kar
Aaj Yeh Raaz Ek Khuli Kitaab Kar Laye Hai Hum