Dosti Ek Pavitar Rishta Hai
Is Mein Na Koi Chal-Kapat Na Ninda Hai
Mujhe Dosti Par Hai Garv
Duniya Ko Yahi Bana Sakti Hai Swarg
Dosti Mein Nahi Kuch Jyada Na Kam,
Khulkar Bante Hai Khushiyan Aur Gham,
Doston Ke Sang Hum Hote Hai Hum
Saat Rahenge Jab Tak Hai Dham
Doston Ki Jeevan Mein Ehmiyat Vo Hoti Hai
Ghor Andhere Main Jo Lau Ki Hoti Hai
Sab K Dil Main Hota Hai Ek Kona
Doston Bigair Jo Reh Jaye Soona
Dosti Mein Nahi Hoti Kyu Deewar
Na Umer Na Majhab Ki Darrar
Dil Yahi Chahta Hai Bar-Bar
Har Janam Mein Rahe Sang Banke Dost-Yaar.