Dosti Ek Hawa Ka Jhoka Hai
Dosti Ek Pal Hai
Jo Aaye Or Phir Chala Jaye.
Dosti Mein Jo Vishvas Na Kare
To Woh Ek Pal Ban Jata Hai
Agar Woh Chala Jata Hai.
Dosti Ko Koi Ehmiyat Deta Nahi
Jo Deta Woh Samjhta Nahi
Or Jo Samjhta Hai Woh Pyaar Kar Bithta Hai
Jo Pyaar Kar Baithta Hai Woh Akela Pad Jata Hai .
Dosti Log Kitne Shaan Se Karte Hai
Magar Unko Kya Pata Woh Bhi Bahut Chalak Hote Hai
Woh Kya Jane Dosti Toh Bas Ek Bahana Hai
Asal‚  Mein Toh Kisi Ka Dil Churana Hai
Dosti Kabhi Karna Toh Soch Samajhkar Karna
Warna Mana Kar Dena ,
Kyoki Zindagi Jisne Jisse Dosti Ki
Samjho Woh Uski Ki Ho Gayi
Jante Dosti Bhi Ek Rishta Hota Hai
Dukhi Dil Ke Derd Ko Sahara Deta Hai
Dosti Toh Woh Khushi Hoti Hai
Jo Kahene Se Milti Hai
Or Zindagi Mein Dukh Derd Tab Khatm Hota Hai
Jab Dil Ki Baat Kahene Ke Liye Koi Humdum Hota Hai
Dosti To Bas Ek Fasana Hai
Dosti Ek Zamana Hai
Dosti To Ek Sumndar Hai
Dosti To Ek Sagar Hai
Dosti To Ek Pal Hai
Jo Aata Jata Raheta Hai
Jo Chalta Hi Raheta Hai.