Dost Ne Kaha Pyar Karna Chhod Do,
Papa Ne Kaha Ghar Chhod Do,
Maa Ne Kaha Us Pyar Ko Chhod Do,
Pyar Ne Kaha Mujse Milna Chhod Do,
Kese Chhod Deta Milna Use, Vo Meri Kamjori Jo Ho Gayi Thi.
Kamjori Ne Kaha Ke Ab Tum A Zindagi Chhod Do,
Mene Kaha Sayad Yahi Sahi Hai,
Fir Jindagi Ne Kaha Ke Gunah Koi Aur Kare Saza Zindagi Ko,
Bewafai Koi Aur Kare Aur Dard Zindagi Ko,
Janti Hu Tere Sath Koi Nahi Hai Tera ,
Per Me To Hu Tere Sath Humesha Tujse Hi
Judi Hu Tuj Pe Hi Khatam Ho Javugi,
Mana Ke Bewafai Tere Sath Sabne Ki Per Un Sab Me Meri Kya Galati Hai,
Mene To Kabhi Nahi Tumhe Dard Diya Kabhi Tumare Sath Bewafai Nahi Ki ,
Fir Bhi Tum Muje Chhodkar Jana Chahte Ho To Chale Jaavo,
Mera Kya Hai Me Aaj Tumare Sath Rahugi Kal Koi Aur Hoga,
Fir Naa Jaane Kal Kya Pata Sayad Tumare Jesha Koi Na Mile Muje,
Sach Hi Kaha Hai Na Jindagi Ne Ye Sab Gunah Koi Aur Karta Hai
Aur Saza Hum Jindagi Ko Dete Hai Bewafai Koi Aur Karta Hai
Aur Dard Hum Zindagi Ko Dete Hai Aur Humne Kabhi Jindagi Ko
Samja Hi Nahi Ke Vo Kya Sochti Hai Humare Baare Me
Hum Kham Kha Usko Taklif Pahochate Hai.