Dost Kya Hai Ye Kya Bataoon Mai
Ek Jazbaat Ki Siyahi Hai
Jo Ittefaq Se Likhi Maine [Ittefaq=by-Chance]
Ek Be-Hosh Aashnaa-Ii Hai
Wo Jo Kehta Nahi Kisi Se Mai
Chahe Walid Hon Ya Wo Bhai Hai [Walid = Father]
Aaina Hai Wo Mere Jazbon Ka
Ke Jisne Shakl Aur Paa-Ii Hai
Ek Kandha Ke Jispe Royen Garaan [Garaan=heavily]
Gosh Me Tarz Wo Samaa-Ii Hai [Gosh=ear, Tarz=lyrics]
Ek Dil Wo Jo Jiski Dhadkan Bin
Meri Ye Zindagi Fana-Ii Hai [Fanaa-Ii=death]
Hai Ye Chhota Sa Lafz Rishton Ka
Isme Lekin Wo Gehraa-Ii Hai
Jaise Saagar Azeem Lehron Ki [Azeem=great]
Justju Gharq-E-Shakebaa-Ii Hai [Justju=desire, Gharq=drown, Shakebaa-Ii=peace]
Dost Aisi Kitaab Hai Jo Kay
Umra Bhar Likhho Bhi To Poori Na Ho
Jild Jiski Hai Pyar Ki Lehren
Jisme Do Zindagi Samaa-Ii Hai
Dost Kya Hai Ye Kya Bataoon Mai
Ek Jazbaat Ki Siyahi Hai
Jo Ittefaq Se Likhi Maine
Ek Be-Hosh Aashnaa-Ii Hai