Dost Kahe Mujh Ko Koi Ki Rakib Bana Le
Bahut Tanaha Hun Koi Magar Pas Bula Le
Sukhe Paton Pe Ansuo Se Ye Likh To Dale
Bhige Tere Khat Hain Koi Kaise Sambhale
Girate Kisi Khskhas Ko Agar Tu Sambhale
Mandir Kee Hifazat Ho Maszid Ko Bacha Le
Dar Ke Chipa Hai Woh Sher Kee Gufa Main
Bahar Kaheen Usko Na Koyee Admee Kha Le
Pichale Safar Ke Kisi Sab Puchane Wale
Koi Nahin Jo Paon Ke Kanto Ko Nikale
Hans Ke Mujhe Kahata Hai Is Hal Main Khush Hai
Hansna Hai To Pahle Ye Ansu To Chipa Le
Tere Gum Ke Ansu Chip Jate Magar Kaise
Badal To Naheen Ankhe Jo Tare Chipa Le
Ye Arzu To Ab Hai Khawabon Ki Fakat Baten
Main Ruth Jayon Kabhee Aur Koyee Nama Le
Aj Zehan Mera Bas Sheeshe Ka Khilona Hai
Yadon Ka Yahan Pathar Koi Na Uchhale
Duniya Kee Khushi Main Kab Mera Basar Hai
Ahon Main Rakh Mujh Ko Ansu Main Chipa Le
Yaden Sabhee Teree Mujh Main Hee Basee Hain
Kaise Kahu Khuda Se Ki Mujh Ko Utha Le
Mujhe Ko Bhee Bura Log Ye Kahte Naheen Hain
Shiv Kee Tarah Pathar Ko Ye Pujane Wale
Mujh Main Kaheen Tu Hai Zahir Hai Sabhi Ko
Tute Hue Dar Hon To Kya Karenge Tale
Safar Sakht Jiska Aur Kanton Se Bhara Ho
Masumshayar Kee Ghazalen Rahon Pe Bicha Le