Dost Bana Na Koi Rakeeb Bana
Is Zindagi Ka Kisa Bhi Kuch Ajeeb Bana
Kayi Yadein Bani Kayi Hadese Hue
Kabhi Khizan Chayi To Kabhi Gulshan Khila
Koi Door Gaya To Koi Bahut Kareeb Mila
Kabhi Apna Sa Laga To Kabhi Ajeeb Mila
Waqt Se Karta Raha Main Hardum Dua
Phir Bhi Us Khuda Se Hume Kuch Na Mila
Ab To Khamoshi Hi Saathi Hai Meri
Ab Nahi Muhjhe Kisi Se Koi Gila
Mohabatein To Akser Huyin Aur Ishq Bhi Khub Chala
Phir Bhi Is Kambakht Dil Ke Arman Jaisa Koi Na Mila
Mausam Badelte Rahe Bahrein Aati Rahin
Phir Bhi Mere Biyabaan Gulshan Mein Koi Gul Na Khila
Ab To Khizaan Ka Shuker Guzar Hoon Main
Jis Ke Aane Se Hume Mausam Ka Patta Chala
Rakeeboo Ne Ki Koshishe Hazaaroon
Mager Phir Bhi Unka Pyaar Hume Hi Mila
Waqt Ki Sarghoshi Se Jo Mili Thi Mohabat Hume
Uska Carvan To Bas Char Din Hi Chala
Dost Bana Na Koi Rakeeb Bana
Is Zindagi Ka Kisa Bhi Kuch Ajeeb Bana
Kayi Yadein Bani Kayi Hadese Hue
Kabhi Khizan Chayi To Kabhi Gulshan Khila