Doori Barhte Barhte‚  Bharti Hi Gayi
Rishton Par Waqt Ki Dhool Jamti Hi Gayi
Ik Baar Shuru Hua Jo Silsila Tootne Ka
Door Saanson Ki Fir Toot Ti Hi Gayi
Bichhar Gaye Sabhi De Ke Pal Do Pal Ka Sath
Yaaro Ki Kami Zindagi Mein Khalti Hi Gayi
Huaa Tinka Tinka Yaadon Ka Aashian Bhii
Aandhi Apni Raftaar Se Chalti Hi Gayi
‘Veer’ Kaise Banta Tere Maathe Ka Naseeb
Taqdeer Usay Har Mor Pe Chhalti Hi Gayi